About Me

Hawa Thami Thie Zaroor Lekin

hawaa thami thie zaroor lekin
Wo sham jese sisak rahi thy

k zard patt'on  ko aandhion ne
ajeeb qissa suna diya tha

k jisko sun kar tamam patt'ay
sisak rahe thy bilak rahe thy

jaanay kis saanihay k gham mai
shajar jaron se ukhar chukay  thy

bohut talasha tha hum ne tmko
har aik rasta, har aik waadi
har aik parbat, har aik ghaati

kaheen se teri khabar na aai thie
to keh k hum ne dil ko taala

hawaa thamay gi to dekh laingy
hum uske raston ko dhoond laingy

magar hmari ye khush khyali
jo humko barbad kr gai thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

hmaray baalon k janglon main
safaid chandni uttar chuki thie

falak pe taaray nahi rahay thy
ghulab pyaray nahi rahay thy

wo jin se basti thie dil ki basti
wo log saare ni rahay thie

ye almiya sb se baala tar tha
k hum tmhaare nahi rahey thie
k hum tmhaare nahi rahay thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

Read:
Poetry Ghazal on Khulus e Dil Se Aari Han Yahan Insan Bohot


Post a Comment

0 Comments