Chupky Chupky Raat Din Aanso Bahana
salamurdu.com |
Chupky chupky raat din Aansu bahana yaad he
Hum ko ab tak aashki ka wo zamana yaad he
Tujh Se kuch milty hi wo bak ho jana mera
Or tera danto me wo ungli dabana yaad he
Khanch leta wo mera Pardy Ka kona dafatan
Or dupaty se tera wo muh chupana yaad he
Tujh ko tanha jab kabhi paana to az rah lihaz
Hale dill baton hi baton me jatana yaad he
Dekhna mujh ko jo bar guzrashta to so so naaz se
Jab mna lena to phir khud roth jaana yaad he
Dopehr ki dhop me mujh ko bulanay k liye
Wo tera kothy pe naangy paaon aana yaad he
Hasrat Mohani Poetry
Dekhna bhi unhain to dor se dekha karna
Shewa ishk nahi husn ko ruswa karna
Hasrat Mohani
Teer naaz aay to un ka azmany ki liye
Paish karty hain dill apna nishany k liye
Hasrat Mohani
Roshan jamal yar se he anjuman tamam
Dhka hoa he aatish kal se chaman tamam
Hasrat Mohani
Taseer barq husan jo un k sukhan main thi
Ik larzish khfi mery sary badan me thi
Hasrat Mohani
Ik nazar Bhi teri Kafi thi be rahat jaan
Kuch bhi dushwar na tha mujhko sakheba karna
Hasrat Mohani Ghazals in Urdu
Bhulata Lakh hon lekin Barabar yaad aaty hain
Ilahi trq alfat par wo kunkar yaad aaty hain
Na chair ae humnashee akefiyat shba k fasany
Sharaab sharab bekhudi k mujh ko saghir yad aty hain
Rha karty hian qaid hosh ae diy na kami
Wo dashte khd faramosh k chakar yaad aaty hain
Nhi aati to yaad un k mhino tak nahi aati
Magar jab yaad aaty hain to aksar yaad aaty hain
Haqeeqat khul gyi hasrat teri tark muhabat ki
Tujhy To ab wo pehly se bhi bar kar yaad karty hain
Qadam Insan ka rahe dhar main
Qadam Insaan ka rahe dhr me thar hi jaata he
Chaly Kitna Hi Koi Bach K Thokar kha hi jata he
Nazar Khua Kitni hi haqaiq se aashna phir bhi
Hajoom-e-Kashmakash main aadmi gabra hi jaata he
Khilafe maslihat me bhi samjhta hon magar Waaz
Wo aaty hain To chehry par Taghayar aa hi jata he
Hawain zor kitna lagay andiyan ban kar
Magar Jo gir k aata he wo badal cha hi jata he
Shikayat ku usy khty ho fitrat insan ki
museebat me khayale Aesh rafta aa hi jata he
Samjhti hain male gul me kiya zore fitrat He
Shar hoty hi kalyon Ko tabasum aa hi jata he
hasrat mohani introduction in urdu
Hasrat Mohani Package by kamran ahmed
0 Comments