Meri Tarha kisi se muhabat
aquapearl.files.wordpress.com |
Zikar Shab-e-Firaq se Wehshat usy bhi thi
Meri Tarha kisi se muhabat usy bhi thi
Mujh ko bhi shok tha nay chehron ki deed ka
Rasta badal kar chalny ki aadat usy bhi thi
Us raat wo dair tak rha wo mho guftagu
Masrof main bhi kam tha faraghat usy bhi thi
Sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zarorat usy bhi thi
Mujh se bichar kar shehar main gul mil gya wo sahks
Halanky sher bhar se Raqabat usy bhi thi
Wo mujh se barh kar dard ka aadi tha ji gya
Warna har ik sans qayamat Usy bhi thi
Shero shayari in urdu
merybanjao.blogspot.com
Ik khuab he is khuab ko khona
Ik khuab he is khuab ko khona bhi nahi he
Tabeer k dhagy me pirona bhi nahi he
Lipta hoa he dill se kisi raz ki surat
Ik shakhs k jis ko mera hona bhi nahi he
www.shairy.com |
Rakhna he sar chasham usy sakt wo jamed
Paani me abhi chand bhigona bhi nahi he
Har chand tery naqsh kafe paa main he lekin
Ye dill kisi bachy ka khilona Bhi nahi he
Wabasta he mujh se k tu he bhi k nahi
Jab main nahi tujh me tera hona bhi nahi he
Jis shakhs ki khater tera ye haal he khawar
Us shakhs ne tery mar jaany pe rona bhi nahi he
Shero shayari in urdu
merybanjao.blogspot.com
Ik tumhary roth jany se Kisi ko kuch nhai hota
Ik tumhary roth jany se kisi ko kuch nahi hota
Phol bhi mehkty hain Rang bhi dumakty hain
Surij bhi nikalta he tary bhi chamkty hain
Ik tumhary roth jany se Ko hasna bhul jata he
Shero shayari in urdu
merybanjao.blogspot.com
Add caption |
0 Comments