About Me

Sad Poetry Dukhi Shayari – Haadse kya kya tumhari be’rukhii se ho gaye


Haadse kya kya tumhari be’rukhii se ho gaye


Sad Poetry Dukhi Shayari – Haadse kya kya tumhari be’rukhii se ho gaye


Haadse kya kya tumhari be’rukhii se ho gaye,
Sari dunya ke liye hum ajnabi se ho gaye..

===========================

Woh kitaabon main darjj tha hi nahin,
Jo parrhaya sabaq zamaane ne ..

===========================

Woh aksar mujhe deta hai parindon ki misaal,
Saaf nahin kehta ke mera sheher chorr jaao..

===========================

Aag se seekh liya hum ne yeh qareena bhi,
Bujh bhi jana per barri dair tak sulagte rehna,

Jaane kis umar main jaaye gi yeh aadat apni,
Roothna uss se aur auron se ulajhte rehna..

===========================

Jiss tarah se badli hain hath ki lakeeerain Nasir,
Mausam ko bhi iss tarah mene badalte nahin dekhaa..

===========================

Baad marne ke meri qabbar pe aaya ghaafil,
Yaad ayi mere qatil ko wafaa mere baad..

===========================

Meri deewangi nahi jaati,
Ro raha hoon hansi nahi jati..

===========================

Suna hai ghuse mein woh sab torr deta hai,
Mera dil hai uske pass khuda khair kare..

Sad Poetry Dukhi Shayari – Haadse kya kya tumhari be’rukhii se ho gaye