Dukhi Shayari – Juda hoe han bahot log aik tum bhi sahi,
Juda hoe han bahot log aik tum bhi sahi,
Aab itni bat pe kia zindagi haram karain.
=========================
Tapke ga lahoo aur mere dida e tar se,
Dharke ga dil e khana kharab aur ziada.
=========================
Totate sitare ko daikh kar kheal aea,
Jaan se guzarne ka marhala bhi rehta hai.
=========================
Tumhen na apne rawaye pe sharam ane lagi,
Hamare hall e zabon par nazar nahin karna.
=========================
Tere beghair kisi chez ki kami to nai,
Tere beghair tabiyat oddas rehti hai.
=========================
To hai soraj tujhe malom kahan raat ka dukh,
To kisi roz mere ghar me utar sham k bad.
=========================
Phool khoshboo chaman chand tare saba,
Sare sathi wo hum se khafa kar gea.
=========================
Pokarti hain farsatain kahan gaen wo sohbatain,
Zameen nigal gai unhen ke asman kha gea.
=========================
Pazerai ke sub mosam isi uljhan me guzare hain,
Kisi ko bhol jana hai kisi ko yad karna ha.
0 Comments